Kaal


You know its been a great weekend, when on a Monday, you pull out the scribbling on the back of an industry report, to update a long forgotten blog. An inspired moment, unedited, a first in hindi for me.

1

Kaal

Is shor main jo ulajhta ja raha hoon,

Apne mann ke dhagaon ko-bun,

Kabhi udhaidta ja raha hoon

Zindagi ke pal jo beet ja rahe hain

Unhe samait,

Sulajhta ja raha hoon.

Seekh raha hoon,

Sambhal raha hoon.

Apni ki hui galtiyoon pe kabhi itra,

Kabhi sukhoon bhi pa raha hoon.

Mudh ke dekhna, galat nahi.

Aage jo hai, uske beetne pe,

Apne kal ki udharana pata ja raha hoon.

Meri lakiroon main, meri gaatha nahi.

Khud ki jeevani, main likhta aa raha hoon,

Guroor ya abhimaan hai,

Vidhata ki kuch dain bhi.

Karamoon ke upkaar,

Aage apne soch ke buland iraadon pe chaltein ja raha hoon.

2 thoughts on “Kaal

  1. Ulajne aur sulajne ke darmiyan ke fasle mein puri zindagi ka safar kat gaya. Na puri tarah ulajh saka aur na puti tarah sulajh saka.

    Great start. Loved the free flow

    Like

Leave a comment