Nivrtti


il_570xN.481376817_fn1r

Rukhi aidiyoon main ab bas rahi hai duniya,

Aankhein jee rahi hain, roz ek naya qissa.

Naye log, naye hai ehsaas,

Jeevan jeene ka yeh nav-abhaas

Drishy jo kitni bar-dekh, bhi andekhein the,

Saamay ki ankahi dhool main, dafne the,

Muskaan ki jhurriyoon main aaj ubhar rahe hain.

Meri gheri, pehli, swach swaas.

Nivritt, here, implies freedom from responsibility, retirement.

 

BANDISH


13

Ek bewafaai aur mili tumhari jeb se,
Siahi ke nishaan, ek muchade hue bill pe.
Kuch der sambhale rakha unhe,
Maine apne mathe ki shikan pe.
Befikr nazar churai tumne,
Main bhi muskura di,
Tumhare lateefe ki ot main,
Din ka varnan, awaaz main hasee aur ulass.
Chaha tumse pooch hi lu aaj,
Laboon tak laakar, rukh gayi kitni baar.
Goonj us sawaal ki,
Shanka mere mann Ki
Kitne kadam door ho tum, es dayere paar
Us siahi ko toh baha diya maine,
Katra katra kar, jeeni hogi, ab yeh daraar.

Kaal


You know its been a great weekend, when on a Monday, you pull out the scribbling on the back of an industry report, to update a long forgotten blog. An inspired moment, unedited, a first in hindi for me.

1

Kaal

Is shor main jo ulajhta ja raha hoon,

Apne mann ke dhagaon ko-bun,

Kabhi udhaidta ja raha hoon

Zindagi ke pal jo beet ja rahe hain

Unhe samait,

Sulajhta ja raha hoon.

Seekh raha hoon,

Sambhal raha hoon.

Apni ki hui galtiyoon pe kabhi itra,

Kabhi sukhoon bhi pa raha hoon.

Mudh ke dekhna, galat nahi.

Aage jo hai, uske beetne pe,

Apne kal ki udharana pata ja raha hoon.

Meri lakiroon main, meri gaatha nahi.

Khud ki jeevani, main likhta aa raha hoon,

Guroor ya abhimaan hai,

Vidhata ki kuch dain bhi.

Karamoon ke upkaar,

Aage apne soch ke buland iraadon pe chaltein ja raha hoon.